Dosto jaise ki subject line main maine mention kiya hai ki Goverment Hospital ke Doctors & Privaate Hospitals ke Doctors me kya differance hai. main aapke sath ye mere life ka true experiance share kar raha hu. jisme differance aap khud samajh jaoge. aur ho sakta ye ye information aapke liye upyogi sabeet ho..Main yaha kisi Hospital aur Doctors ka name nai lunga kyon Ye mera experiance hai. bahut log aise bhi hai jinke liye private doctos bhi Bhagwan sabit hote hai. ye main bhi manta hu.
Baat aaj se do saal pahle ki hai. Meri 9 saal ki Bitiya Bimaar ho gai thi aur usko pet dard ka problem ho gaya. main bitiya ko lekar ek Private Hospital ke doctor ke paas le gaya. aur private hospital kyon le gaya kyon ke bachpan se jab bhi vo bimaar hoti thi to main hamesha private doctors ko hi dikhata tha. Mujhe lagta tha ki goverment hospital me koi dang ka ilaaj nahi hota. Private hospital ke doctor ne bitiya ko dekha aur 3 deen ki medicine de di. Hum log ghar aa gaye aur bitiya ka pet dard ruka nahi. do din hune medicine di aur wait kiya ki pet dard band ho jayega. magar pet dard nai ruka . ain apni bitiya ko lekar vapas doctors ke paas gaya aur bola doctor sahab Bitiya ko koi phayada nai hua. Doctos sahab ne kuch blood aur urin ke test likhe aur bole aap admitt karwa do. maine bitiya ko hospital me admitt karwa diya. do din hospital me admit rahne ke baad bhi bitiya ko koi relif nai mila aur hum log bilkul pareshan ho gaye. Doctor ko bola to bole kal Sonograph karenge kyon ki abhi tak ki report main to koi problem nai hai.
3rd day ko Docotr ne sonograph likha aur humne vo janch bhi karwakar doctor sahab ko de di. Docotors sahab bole bitiya ki ek kidny sahi jagah par nahi hai. matlab dono kidny hai par ek ki position thode differance hai . jahan honi chayee wahan nahi hai. Hum log badi tension main aa gaye. Maine doctor sahab se poocha sir isse future main koi serious problem ho sakti hai kya ? Doctor sahab bole kah nahi sakte vo kidny future main kaise functioning karegi ye to baad main hi pata chalega. par abhi bhi five days ho gaye par pet dard band nahi hua. aur bitiya bahut jor jor se chillaye usko itna pain ho raha tha. main phir doctor sahab ke paas gaya aur bola doctor sahab isko aap ICU main admit kar lo ho sakta hai wahan aap koi observation kar pao. Doctor bole theek hai hum ICU main le lete hai.. do din ICU rahne ke baad doctors bole kidney ke alawa koi problem nahi hai. but kidny ki position ki wajah se pet dard nahi hona chayee ye doctors ne mere ko bola aur bole ab theek hai aap ghar le jao koi issue nai.
Main 8 din hospital se Bitiya ko ghar lekar aa gaya. aur laga ki ab koi problem nahi hai. main jaise hi ghar aaya pet phir dukhne lag gaya. main bilkul pareshan ho gaya ki kya karen. Mere ek padosi ne bola ki ek Goverment hospital ke doctor hai jinko main apne bacho ko dikhata hu aap waha dika lo aur main sath chalta hu.....hum subah hospital se aaye the aur wapas sham ko sarkari docotor ke ghar pahuch gaye dikhane .
Goverment hospital ke Docotr sahab apne ghar ke Bahar ki side ke ek room main hi baithkar Marijo ko dekh rahe the. mera number aaya aur me bhi Bitiya ko lekar docotor sahab ke paas gaya. Maine sari baat Batai ki 8 din hospital me rakhkar le aaya par koi phayada nahi hai.. kyon ki iski kidny abnormal hai..Doctor sahab bole ek kidny Kaam karna band kar de to bhi Aadmi ko koi farak nai padta aur na hi koi pet dard hota. Rahi baat kidny abnormal ki to vo to kids main 18 Saal ki age tak apni sahi position se idhar udhar ho to bhi koi fark nahi padta. agar koi issue hoga to 18 years ki age main check karenge..... main bola doctos sahab phir pet dard kyon ho raha hai ? Sarkari Docotor sahab Sari reports dekhkar bole Bahiya ye sari reports useless hai..aap Bitaya ko bahar Bithao aur mere paas wapas aao. Main Bitiya ko bahar bitha kar vapas andar gaya ... Doctor Sahab ne bade aaram se aur pyar se mere ko bole dekho aapki Bitiya ko mere hisaab se koi pet ki problem nai hai...
Main Bola doctor sahab par vo to dard se bahut pareshan hai ....Doctor sahab bole accha ye batao Raat main dard hota hai ? maine yaad kiya aur bola nai Sir ....ok Doctor sahab bole jab dard hota hai to ye pet ko pakadkar aage ki taraf jhukti hai ya piche ki taraf ?? Maine jhat se bola sir ye piche ki taraf jhukti hai ......Ok Doctor sahab bole jab aap Ghar se hospital tak gadi me aate ho to pet dard hota hai ?? maine yaad kiya aur bataya sir gadi main to nai hota.........Doctor sahab bole hamare paas aise dard ke 80% Bacche aate hai aur unko pet dard nahi balki kuch saiclogical pain hota hai.....
Maine kaha kya matlab sir ...aapka matlab vo natak kar rahi hai ?? Doctor sahab bole nai Natak nai kar rahi but kya hota hai aajkal ke baccho ko parents pahle to bahut ladle kar lete hai aur unki har demand puri karte hai...phir vo thode bade hote hai to kuch chije aise hoti hai jo ya to parents Dilwa nai sakte ya phir uski Bachho ko jarurat nahi hoti..aise main bachho ko lagta hai ki unko avoid kiya jaa raha hai aur vo is tarah ka pain hone ke tarike apnate hai taki parents unki taraf attract ho sake....
Mujhe us samay to laga ki Docotor sahab sai kah rahe honge..maine kaha sir iska kya ilaaz hai ? bole aap iske dard ki taraf dhyan mat do aur avoid karo aur isko pyar se samjho.main kuch neend ki Goli de deta hu jo raat ko sote time de dena. five days baad agar koi problem ho to vapas le aana....maine kaha theek hai sir...
Ab main sochne laga ki main bitiya ko aise kaise bolenge ki beta aap to Natak kar rahe ho. main ghar aa gaya aur chupchap se Wife ko puri baat batai.. maine kaha jab pet dard ho to isko thoda avoid karo. par mere dimag me ye baat baar baar aa rahi thi ki ye raat ko to kabhi bhi nahi jagi.
agle din subah hui aur pet dard chalu ho gaya. meri wife aur maine avoid karne ki koshish kari par hamara dil nahi mana aur hum usko sambhalne lage..kuch dard ki goli di aur usko thoda aaram mila...
maine socha ye goverment doctor ko bhi kuch aaata jata hai nahi....hum log bahut parehsan ho gaye..
do din nikal gaye aur pet dard vaise ka vaisa... maine do din main ek do jagah jhada bhi dilwa diya ...kyon ki jab ghar main koi bimaar hota hai to rai dene wale sab apni apni rai jaroor dete hai..Finally ek aur padosi milne aaye aur unhone bola aap ek baar main jo bolu us doctor ko dikhao... vo Bhi Goverment ke retired Doctor hai aur Leaver ke expert hai....main chala gaya bitiya ko lekar...mera number raat ko 9 baje aaya.. maine doctor sahab ko puri kahani batai.... Doctor sahab bole bahut badi file bana li aapne....maine kaha sir main to dukhi ho gaya kyon ki aaj 12 din se bitiya pareshan hai.
Doctor sahab ne bitiya ko paas bulaya aur bole dekho Beta agar aapka pet Dubara dukha to main aapko bade bade injection lagaunga...aur ek bada sa injection dikaya....Bitiya silent dekh rahi thi....
Finally doctor sahab mere ko bole aap ki Bitiya aacchi hai aur jaisa pichle doctor ne bola vaise isko koi problem nai....5 din ki dawa le jao aur dubara aane ki jarurat nai hai....aur jaroorat pade to mere paas hi aana kahin mat jana..... Bole Provaate Hospital me to bilkul mat jana....Wahan par Bimar kiya jata hai ...Bimari ko theek nai kiya jata ..kyon ki unke bade bade hospitals ki Bank loan ki kist aati hai...
Maine Muskraya aur dawa lekar ghar aa gaya....ek din ki dawai ke baad Bitiya ko pet nahi dkukha........
Isliye main aap logo se bhi request karta hu ki ho sake to aap sabse pahle aur Priority par Goverment Docots se hi Sampaark karen...
Thank You
Rendheer Singh

Casino Tycoon - Mapyro
जवाब देंहटाएंGet directions, reviews and information for Casino 김포 출장마사지 Tycoon, Biloxi, MS, 광양 출장샵 Casino Tycoon in Biloxi, MS. 구미 출장안마 천안 출장안마 Casino Tycoon at Mississippi State 포천 출장안마 Park.